Khush Rehne Ka Formula
Logo Ko Is Baat Se Farq Nahi Padta Ki Aap Khush Ho Yaa Nahi,
Unhe Farq Is Baat Se Padta Hai, Ki Aap Unhe Khush Rakhte Ho Yaa Nahi
Aisi Kushi Se Bacho
Jo Dusro Ko Dukh Dene Se
Hasil Hoti Hai
Khushi Ek Aisi Cheez Hai
Jo Hamare Paas Naa Hote Hue Bhi
Ham Dusro Ko De Sakte Hain
Apni Zindagi Me Har Kisi Ko Ahmiyat Do
Jo Accha Hoga Wo Khushi Dega
Aur Jo Bura Hoga Wo Sabaq Dega
Khushi Ki Talash Us Waqt Mukammal Hoti Hai
Jab Aap Apni Barabari Dusro Se Karna
Chor Dete Hain
Apni Lamha Bhar Ki Khushi Ke Liye
Dusro Ke Labo Ki Muskurahat Mat Chino
Khushi Aur Sukh Aisi Itr (Perfume) Hai
Jinhe Jitna Zyada Aap Dusro Par Chidkenge
Utni Hi Zyada Khushbu Aap Ke Andar Aayegi
Kisi Bhi Insan Ki Khushi Ki Wajah Bano
Khushi Ka Hissa Nahi
Aur Kisi Bhi Insan Ke Dukh Ka Hissa Bano
Dukh Ki Wajah Nahi
Agar Tumne Har Haal Me Khush Rehne Ka Fan Sikh Liya Hai To, Yaqeen Karo Zindagi Ka Sabse Bada Fan Sikh Liya Hai
Apni Khushi Ki Khatir Dusro Ki Khushi Ko Khaak Me Na Milao, Tumhari Wo Khushi Bekaar Hai, Jiske Piche Kisi Ke Aansu Ho
Khushi Ka Talluq Aap Ke Haalaat Se Nahi,
Aap Ke Faislo Se Hai
Kapde Aur Chehre Aksar Jhoot Bola Karte Hai, Insan Ki Asliyat To Waqt Batata Hai
Jab Tak Aap Apne Maslo Aur Mushkilo Ki Wajah Dusro Ko Mante Hain, Tab Tak Aap Apne Maslo Aur Mushkilo Ko Mita Nahi Sakte
Apno Ko Hamesha Apna Hone Ka Ehsas Dilao
Warna Waqt Aap Ke Apno Ko Aap Ke Bina Jina Sikha Dega
Badshah To Waqt Hota Hai,
Insan To Yoon Hi Guroor Karta Hai
Jisse Ummid Ho,
Agar Wohi Dil Dukha De
To Puri Duniya Se
Bharosha Uth Jata Hai
Kisi Ke Pairo Me Gir Kar
Kaamyabi Paane Ke Badle
Apne Pairo Par Chal Kar
Kuch Banne Ki Thaan Lo
Jis Din Aap Apni Hasi Ke Malik
Khud Ban Jaaoge
Tab Aap Ko Koi Bhi Rula Nahi Sakta
Comments
Post a Comment