Zindagi Ki Haqeeqat
Tlaash
Jab Aap Khud Ko Taraashte Hain
Tab Duniya Aap Ko Talaashti Hai
Parwaah
Jis Din Aap Ne Ye Parwaah Karna Chor Di, Ki Log Aap Ke Baare Me Kya Sochte Hain,
Samjho Us Din Se Aap Ne Zindagi Ka Sukoon Lena Shroo Kar Diya
Kadwa-Meetha
Naa To Itne Kadwe Bano Ki Koi Thuk De
Aur Naa Itne Meethe Bano Ki Koi Nigal Jaaye
Farq
Koi Farq Nahi Padta Ki Log Aap Ke Baare Me Kya Sochte Hain, Farq To Isse Padta Hai Ki Aap Apne Baare Me Kya Sochte Hain
Badlaao
Jo Badalta Hai Wohi Aaghe Badhta Hai
Rang
Duniya Pal Pal Rang Badalti Hai
Aur Log Puchte Hain Ki Holi Kab Hai
Haar
Haar Ek Sabaq Hai
Jo Khud Ko Sudharne Ka Mauqa Deti Hai
Qadar
Accha Insan Matlabi Nahi Hota
Bas Door Ho Jata Hai, Un Logo Se
Jinhe Uski Qadar Nahi Hoti
Lazy
Sab Kuch "Easy" Hota Hai
Jab Aap "Busy" Hote Hain
Kuch Bhi "Easy" Nahi Hota
Jab Aap "Lazy" Hote Hain
Ek Sach
Zindagi Me Jo Bhi Ham Chahte Hain
Wo Aasaani Se Nahi Milta
Lekin Zindagi Ka Ek Sach Ye Bhi Hai
Jo Ham Chahte Hain Wo Aasaan Nahi Hota
Dil
Kabhi Bhi Kisi Ka Dil Naa Dukhayen
Kyuki Aisa Hi Ek Dil Aap Ke Paas Bhi Hai
Sabaq
Zindagi Har Mod Pe Hame Ek Naya Sabaq Deti Hai, Isliye Nahi Ki Ham Use Padhe, Balke Isliye Taake Ham Use Samjhe
Tufaan
Zindagi Me Tufaan Aana Bhi Zaroori Hai
Taake Pata Chale, Kon Haath Pakad Ke Bhaag Raha Hai, Aur Kon Haath Chor Ke
Comments
Post a Comment