HAAYE RE! "Paisa"
Ghamand
Paise Ka Ghamand Do Hi Logo Ko Hota Hai
Ek - Jise Khandani Jaidaad Mili Ho
Aur Dusra Wo - Jisne Dhoke Se Kamaya Ho
Uff Re Paisa
Toota Jata Hai Gharibi Me Wo Rishta
Jo Khaas Hota Hai
Hazaro Yaar Bante Hain
Jab Paisa Paas Hota Hai
Be-Zameer
Tarakki Ki Fasal, Ham Bhi Kaat Lete,
Thode Se Talwe, Agar Ham Bhi Chaat Lete
Bas Mere Lehje Me, Jee Huzoor Na Tha
Iske Elawa Mera Koi Qasoor Na Tha
Agar Pal Bhar Ko Bhi, Main Be-Zameer Ho Jata
Yaqeen Maaniye, Main Kab Ka Ameer Ho Jata
Paise Ki Akad
Insan Ki Akad Wajid Hai Janab!
Paisa Aane Par To Batuwa Bhi Phul Jata Hai
Khaali Jeb
Duniya Me Sabse Wazandaar
Khaali Jeb Hoti Hai,
Chalna Mushkil Ho Jata Hai
Zindagi Aur Paisa
Zindagi Ki Aadhi Umar Tak Paisa Kamaya
Paisa Kamane Me Badan Ko Kharab Kiya
Baaki Aadhi Umar Tak Usi Paise Ko, Badan Thik Karne Me Lagaya
Na Badan Bacha Na Paisa
Rishta Aur Daulat
Daulat Ki Bhuk Aisi Lagi, Ki Kamane Nikal Gaye
Jab Daulat Mili To Haath Se Rishte Nikal Gaye
Baccho Ke Saath Rehne Ki Fursat Na Mil Saki
Fursat Mili To Bacche Kamane Nikal Gaye
Naseeb
Khushiyan Paiso Se Nahi
Naseeb Se Milti Hai
Maut
Paisa Insan Ko Upar Le Jaa Sakta Hai
Lekin Insan Paisa Upar Nahi Le Jaa Sakta
Sikke Aur Rishte
Mere Jeb Me Zara Sa Ched Kya Hua!
Sikke Se Zyada To Rishte Gir Gaye!
Ameer Ki "Hi"
Gharib Ki Haaye Kisi Ko Nahi Chahiye
Aur Ameer Ki "Hi" Sab Ko Pasand Hai
Jaidaad
Khub Kamao....!
Lekin Itna Bhi Ikattha Mat Karo Ki..
Tabiyat Zara Se Kharab Hone Par
Bacche Doctor Ki Jagah Wakeel Bula Layen
Aukaat
Paisa Haisiyat Badal Sakta Hai
Auqaat Nahi
Comments
Post a Comment