Ghame "ZINDAGI" Tera Shukriya
Khwahisho Ke Bojh Me
Tu Kya Kar Raha Hai
Itna To Jeena Bhi Nahi
Jitna Ki Tu Mar Raha Hai
Koi Halaat Nahi Samajhta
Koi Jazbaat Nahi Samajhta
Ye To Apni Apni Samajh Ki Baat Hai
Koi Kora Kagaz Samajh Leta Hai
To Koi Puri Kitab Nahi Samajhta
Maana Ki Auro Ke Muqable
Kuch Zyada Paya Nahi Maine
Par Khud Girta Sambhalta Raha
Kisi Ko Giraya Nahi Maine
Maaloom Hai Ki Khwab Jhute Hain
Aur Khwahishe Adhoori Hai
Par Zinda Rehne Ke Liye Sahab!
Kuch Ghalat Fehmiya Bhi Zaroori Hai
Kisi Ki Nazar Me Acche The
Kisi Ki Nazar Me Bure The
Haqeeqat Me Jo Jaisa Tha
Ham Uski Nazar Me Waise The
Kuch Waqt Ki Khamoshi Hai
Phir Shor Aayega
Tumhara Sirf Waqt Aaya Hai
Hamara Daur Aayega
Hamesha Hi Nahi Rehte
Kabhi Chehre Naqabo Par
Sabhi Kirdar Khulte Hai
Kahani Khatm Hone Par
Haq Jo Lagta Hai
Wahi Kehne Ka Aadi Hun
Maine Apne Shaher Ka
Comments
Post a Comment