Dosti
Ek Saccha Dost Kabhi Aap Ke Raste Me Nahi Aata Jab Tak Aap Ghalat Raste Pe Na Jaa Rahe Ho
Dosti Shishe Ki Tarah Nazuk Hoti Hai. Ek Baar Tutne Par Jodi Jaa Sakti Hai Lekin Darare Hamesha Maujood Rehti Hai
Accha Dost Safed Rang Ki Tarah Hota Hai, Safed Rang Me Koi Bhi Rang Milao, Naya Rang Ban Jaata Hai, Magar Duniya Ke Saare Rang Mila Kar Bhi Safed Rang Nahi Banta
Jo Zara Si Baat Par Dost Na Rahe, Samajh Lena Wo Kabhi Dost Tha Hi Nahi
Dosti Kisi Wajah Se Ya Kisi Maqsad Ke Liye Nahi Ki Jaati, Magar Jab Ye Ho Jaati Hai To Zindagi Ka Maqsad Aur Jeene Ki Wajah Ban Jaati Hai
Accha Dost Tumhara Haath Us Waqt Pakadta Hai Jis Waqt Tumhe Us Ki Zaroorat Hoti Hai Magar Saccha Dost Tumhara Haath Us Waqt Mazbooti Se Pakad Leta Hai Jab Tum Kehte Ho Ke Mujhe Akela Chor Do
Zindagi Hame Bahot Khusoorat Dost Deti Hai, Lekin Acche Dost Hame Khubsoorat Zindagi Dete Hain
Acche Dost Takiye Ki Tarah Hote Hain, Udasi Me Gale Se Laga Lo, Tanhayi Me Sar Rakh Kar So Lo, Aur Gusse Me Laat Maar Do
Dosti Ek Aisa Phool Hai Jise Chahe Kanto Me Rakho Chahe Dhup Me Wo Apni Khushbu Aur Khubsoorti Kabhi Nahi Chorta
Comments
Post a Comment